Monday, August 31, 2009

Aj, January 07,2009 04:24PM

Bachpan ka Zamana Hota tha
Khushyo ka Khazana Hota tha
Chaht CHAND ko pane ki
Dil Titli ka Deewana hota tha
Rone ki waja na hoti thi
Hasne ka B hana hota tha
Khabr na thi kuch Subho ki
Na shamon ka Thikana hota tha
DADI ki khani Hoti thi
Paryon ka Fasana hota tha
Gham ki Zuba na hoti thi
Na Zakhmon ka paymana hota tha
Barish me Kaghaz ki KASHTI
har Mosam suhana hota tha
Wo khel wo sathi hote the
Har Rishta Nibhna hota tha

No comments:

Post a Comment