Monday, August 31, 2009

N, December 30,2008 09:44PM

Bachpan ka Zamana Hota tha
Khushyo ka Khazana Hota tha
Chaht CHAND ko pane ki
Dil Titli ka Deewana hota tha
Rone ki waja na hoti thi
Hasne ka Bana hota tha
Khabr na thi kuch Subho ki
Na shamon ka Thikana hota tha
DADI ki khani Hoti thi
Paryon ka Fasana hota tha
Gham ki Zuba na hoti thahin.
Na Zakhmon ka paymana hota tha
Barish me Kaghaz ki KASHTI
har Mosam suhana hota tha
Wo khel wo sathi hote the
Har Rishta Nibhna hota tha.

No comments:

Post a Comment