Wo pani ki lehron pe kya likh rha tha,
khuda janay harf-e-dua likh rha tha,
likha tha jisne wafa ka mani adhora,
wo shakhs piyar ki intiha likh rha tha,
zra uski ankh se anso na nikle,
wo jis waqt lafz-e-saza likh rha tha,
mohabat main nafrat mili thi osay,
wo hr shakhs ko bewafa likh rha tha..!
No comments:
Post a Comment