Woh Bandagi ki aisi Misaal deta hai,
Aawargi ko Shariyat may Dhaal deta hai,
Woh Khush Qalam hai is darja baat karny may,
K harf harf ko
Husn-o-Jamal My Dhaal deta hai,
May Uska sath jo mangoon Zindagi bhar ko,
Bary Haseen tareeqay say Woh Taal deta hai,
"Yeh Jan kar bi k Mera Woh Ho nahi sakta,
Woh Dekhta hai youn!!!
Shash-o-Panj may daal deta hai."
Sawaal jese k Panaah mangtay hon,
Ankhon say
Jawab aisay Woh Kamaal deta hai
No comments:
Post a Comment