Kuch is tarha se use pyar karna parta hai,
K apne pyar se inkar karna parta hai,
Kabhi kabhi to woh itna qareeb hota hai,
K apne ap ko diwar karna parta hai,
Khuda ne us ko ata ki hai woh maseehai,
K khud ko jaan k bimar karna parta hai,
Wafa ki rah me dushwariyan to aati hain,
Wafa ki rah ko humwar karna parta hai,
Woh hath rakh k mera dil pe jab pochta hai,
To mujh ko dard se inkar karna parta hai.
No comments:
Post a Comment