(Parveen shakir)
Aks-e-khushbu hun,bikharny se na roky koi,
Aur bikhar jaon to mujko na samaity koi.
Kanp uthti hon ye soch k tanhai mein,
Mery chehry pe tera naam na parh ly koi.
Jis tarah khwab mery ho gaye reza reza,
Is tarah se na kabhi toot k bekry koi.
Main to us din se hirasaan hon jab hukam milay,
Khusk phoolon ko kitaabon mein na rakhay koi.
Ab to is raah se wo shaks guzarta b nahi,
Ab kis umeed se darwazy se jhanke koi.
No comments:
Post a Comment