Aaj ki raat nahin shikwe shikayat k liye,
Aaj her pal her lamha hai mohubbat k liye.
Reshmi saya hai yahan or kuch tanhaiyan,
Aaj milne main na uljhan hai na hain ruswaiyan.
Aaj her gunah muqaddas hai farishton ki tarha,
Kaanpte hoton ko miljane do rishton ki tarha.
Apni zulfon ko maire shaano pe bikher jane do,
Aaj is raat ko kuch or nikhar jane do.
Aaj ki raat mudaton k baad aaei hai,
Aaj subha ne na aane ki qasam khaei hai-.,@;
No comments:
Post a Comment