Friday, April 30, 2010

R, December 08,2009 9:18PM

Kahani dard ki main zindagi se kya kehta,

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta,

Gila to mujh ko bhi krna tha pyaas ka lekin,

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta,

Meray azez hi mujh ko samajh na paye kabhi,

Main apna haal kisi ajnabi se kya kehta,

Andheri rààt ne mujhko bohot sataya hai,

Bhala ye baat main ab roshni se kya kehta.

No comments:

Post a Comment