Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho.
Badan me door tak zindgi ka naam na ho !
Tu benaqaab jo phirta hai gali koochon me...
To kaise shehar k logo me 'qatl-e- aam' na ho !
Muje yaqeen hai k dunya me dard barh jain...
Agar ye peenay- pilanay ka ehtmaam na ho !
Bitha k samne bas dekhta rhoon tujh ko...
Tere siwa muje dunya ka koi kaam na ho !
Jo Tujh ko Mein dekh lu ik nazar b.!
Mere shehar ki galiyon me kabi shaam na ho.
No comments:
Post a Comment