Meri zindagi ko ik tamasha bana dia us ne
Bhari mehfil main tanha bitha dia us ne
Aisi kia thi nafrat us ko is masoom DIL se
Khushian chura ker gham thama dia us ne
Bahot naaz tha us ki wafa pe kabhi hum ko
Mujh ko meri hi nazroon main gira dia us ne
Khud bewafa tha meri wafa ki kia qadar karta
Anmol tha main khak main rula dia us ne
Kisi ko yaad karna to uski fitrat mein shamil nahi
Hawa ka Jhoonka samj ker bhula dia us ne.
No comments:
Post a Comment