Wednesday, June 30, 2010

In, December 17,2009 1:06PM

Husan sarf e nazar nahin hota,

Aainon par asar nahin hota,

Ishq ki baat bhi nirali hai,

Dard hota hai par nahin hota,

Koi aa jaye yaad to dil se,

Aik pal bhi basar nahin hota,

Jane kin raaston mein uljha hai,

Jab bhi jate hain ghar nahin hota,

Jeena chahen to jee nahin sakte,

Marna chahen to mar nahin hota,

Dard ek aisi raah hai jis par,

Koi bhi hum safar nahin hota,

Is taraf be eman baste hain,

Aasman ka guzar nahin hota,

Kaisi neendon mein phans gaye hain hum,

Jagte hain to sar nahin hota,

Hijr k dukh se jo chuni jaen,

In faseelon mein dar nahin hota.

No comments:

Post a Comment