<><><><><><>
Raat kat-ti rahi chaand dhalta raha,
Aatish-e-hijar main koi jalta raha,
Ghar ki tanhaiyaan dil ko dasti rahi
Koi bay chain karwat badalta raha
Aas or umeed ki shamma roshan rahi,
Ghar ki dehleez koi takta raha
Raat bhar chandni gungunati rahi
Raat bhar koi tanha sisakta raha,
ashk palkoon pay aa k bikhartey rahey
Naam lab pay kisi ka larazta raha,
Aaj phir raat akeley basar ho gai
Aaj phir koi khud say ulajhta raha.
No comments:
Post a Comment