¤¤
""""""""
Uljhay huay haalat ka shikwa na kia kar
khairaat mein khushiyon ki tamanna na kia kar
So baar kaha itni mohabat nhi achi
So baar kaha itna bharosa na kia kar
Halaat tujhko mujhse na milne kabhi dein gay
Ae dost mere...meri tamanna na kia kar
Kya janey ye kis morr pey ley jaey zamana
Tu mujh ko kisi pal b elehda na kia kar
Mumkin hay kisi roz bichar jaon achanak
Tu mujh sy piyar itna ziyada na kia kar...
*Hamari* *wafaien* tumhare liye hen..
*Mehekti* *Fizaen*
tumhare liye hen..
Jahan b raho
*Tum* *salamat* raho.
*Labon* par *Duaen* tumhare liye hain.,
Hum tumhay paa kar khona nahi chatay,
Judai mein aap ki rona nahi chatay,
Aap humaray hi rehna humesha pyar bankar,
Hum bhi kisi or k hona nahi chatay..
Khud piyas ka sehra
hon magar DIL ki ye zid
ha MOHSIN
Har DOST pe SAWAN ki tarah tot k barsoon
Mujhy chhor day mery haal per...
....Tera kya bharosa ae hum safar...!
Teri mukhtasir si nawaazishein.... ....
Mera dard aur barha na dein.-
Mere haathon se us ka
haath faqat is liye chhoota.....;
Wo ANMOL itna tha k main us ki qeemat na de saka......!!
Meri zindagi ko ik tamasha bana dia us ne
Bhari mehfil main tanha bitha dia us ne
Aisi kia thi nafrat us ko is masoom DIL se
Khushian chura ker gham thama dia us ne
Bahot naaz tha us ki wafa pe kabhi hum ko
Mujh ko meri hi nazroon main gira dia us ne
Khud bewafa tha meri wafa ki kia qadar karta
Anmol tha main khak main rula dia us ne
Kisi ko yaad karna to uski fitrat mein shamil nahi
Hawa ka Jhoonka samj ker bhula dia us ne.
W0 Baat Baat Py Apni Misaal Deta Hai
W0 Meri Fikr K0 Aisa Khayal Deta Hai
Naraz hota Hai Mujhse t0 Aisa Lagta Hai
Badan Sy Jaise Meri RO0h Nikal Deta Hai.
Dhond ri hai wo mujhe 'BHOL' Jane ka tariqa
"A£i"
Sochte hon khafa ho kr os ki mushkl aasan krdon....?
GooD N!ght Wapsi ka safar ab mumkin nahi ho ga
FARAZ...
Hum Muhabat mein nikal
chukay hein ankh se ansu ki tarha...
"KASH"
Sapny haqiqat hoty,
hum har sapny main tujhy dekha karty.
"KASH"
Zindgi main har Dua Pori hoti hum har Dua main teri Dosti manga karty.
"KASH"
Zendgi Wafadar hoti hum sari Zendgi tera sath nibhaty.
"KASH" k
Zendgi main lafz
"KASH"
na hota,
Hum aaj b hain soch main dobay howay yaro...
khud se kabhi duniya se hain rothay howay yaro...
Denay k liye usko jo hum ne thay sambhalay,
Wo phool kitabon main hain sokhay howay yaro...
Wo apni jafaon main kuch kami to karain aaj,
Ik umer hoi shehar wo choray howay yaro...
Hum ne ye kaha tha k unhain piyar hai hum se
Hum aaj bhari bazm main jhotay howay yaro...
Aghosh main unki hmein rahat jo mili hai,
Hum aaj kch andr se hain tote hue yaro.
Hamko loota ha usi shehr ne ay jan e wafa:
jis ki galion men mohabat ka kuch h¡sab na tha,
woh jo rehtay they mere sath hamesha d¡n bhar:
unke mazhab men wafaon ka ko¡ baab na tha:
wo jo ankhon mein mohabat ko liye ph¡rte they:
unke d¡l mein thee wo nafrat k kuch hisab na tha,
me¡ ne jisko b museebat men maseeha jana,
jo d¡a usne bara us se kuch azaab na tha:
mujhy khyal tha yeh log mere apne hein ,
mgr wahan pe to aisa ko¡ rewaj na tha..
"Hum Mitti K Aashyane Banate Gaye"
"Bana Bana K Unhain Mitate Gaye"
"Hum ko Koi Na Apna Bana Saka"
"Aur Hum Her Kisi ko Apna Banate Gaye.
Wafa ki Laj HuM wafa sE Nibhen Ge,
Chahato k Deep HuM khoun sE jalain Ge,
Kabi jo Guzrna Ho apko Dushwar Rasto sE
HuM phoul Ban k apki Raho Me Bikhar jain Ge..
Zara Udas hoon Lekin Zara Masroor bhi hoon...
Tumharay paas hoon shayad,shayad Door bhi hoon...
Yoon Pathreelay Raston pay Chalna Shoq nahi Mera..;
Kuch Muaamla Chahat ka hay Kuch Majboor bhi hoon..
Mohabbat Ho Gai Tum say Bus itni Khata hay Meri...
Mana k Mujrim hoon Magar BayQasoor bhi h0
kaise ajeeb log he tere sheher me Faraz...???
Shoq-e-mulaqat to rakhte he magr baat nahi karte...???
Kitna Dilkash hai meri Tanhai ka Manzar Mohsin,
Chandni ban k Barasti hain Teri Yadain mujh pr....
Hum ne un k aany pr,
Ghar k kachay raste pr,
itne deep jalaye k roshni ki had kr di,
woh is pareshani me lout gaye
k rat ka wada tha ab din nikal aaya ha.
Meray israr par aakhir
Bohut majboor ho kar aaj
Mujhy apni nigahon ki
Udasi sonp di os ny
Bohut be-bas bohut tanha
Bohut bikhri mohabbat Ki
Haqeeqat khol di os ny
Khalish jo os K dil men thi
Wo ab meri amanat hy
Shikasta lehjay Ki jitni
Thakan thi bol di os ny
Meri kahtir mujhay apni
Mohabbat keh nahi paya
Magar aaj apny aansu'on sy
Mohabbat tol di os ny .
Tujh say yun rabta bahaal raha
Lamha lamha tera khayal raha
Haath jab b uthaye dua k liye
Mery honton pe ik sawal raha
Jo b manga tery liye manga
Apnay daman ka na khayal raha
Dil parinda tha kaisay urh paata
Teri yadon ka is pe jaal raha
Tum milay zindagi main jaan Aaye
Dukh raha na koi malal raha
Teri yaadain jo choo gayi dil ko
Phir to har lamha khush khayal raha
Door reh k b paas rehtay ho
Apny rishty ka yeh kamal raha.
Kon ujra ho ga bhari duniya mai hamari tarha " "
wo b na mila humko aur khud ko b hum ganwa bethe.
Shaam ki Tanhai Me Doob na jana.
Baarish ki Masti me kho na jana.
Milegi Zindagi me har Khushi Tumhe.
Par khushi paa kar hume Bhool na jana. ~
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi~
Gaye dinon mein bohat ba kamal thay hum bhi~
Hamari khoj mein rehti thein titlyan aksar,~
K apny shehr ka y isi dhun mein,~
K zindagi mein kabhi laazwal thay hum bhi~
Kisi ki yad ne hum ko nikma kar diya ghalib~
Warna aadmi to be mesaal they hum bhi.~
Yehi wada lia tha na,
Hamesha khush hi rehna hai,
Lo dekho! dekh lo a k,
Meri ankhon ko dekho tum,
Ye kitni shokhE lgti hain,
Meray honton ko dkho tum,
Hamesha muskuratay hain,
Koi b gham agar aya,
Use hans kar saha main ny,
Mery chahray ko dkho tum,
Hamesha pursakoon ho ga,
Kia tha main nay jo tum se,
Wo wada kar dia pura,
Magar ik baat hai pyaray,
Kabhi jo wakt mil jae,
To meri shayari parhna,
Tumhain mehsos to ho ga,
Kaheen talkhi bhara lehja,
Kahen pay sard sa lehja,
Kahen pay dard ki jheelain,
Kahen lahjay ki karwahat,
Suno!
Main khush to hun lekin,
MERA HAR LAFZ ROTA HAI...!
Bichrne ki Azeyat ko,
Agar Tum jan'na Chaho,
To kuch pal ko,
Zara ye Saans Apni rok kr Dekho,
Tumhein Mehsus Ye ho ga,
"Bichrna"
Moat Jesa hai"..
"/Zindagi chahat ka silsila hai,
:"/koi mil jata hai to koi bichar jata hai,
:"/Jise mangte hain ham apni Duaon me,
:"/Wo kisi ko bina maange hi mil jata hai?
Dil ko yun jalana suno acha nai hota,
kisi ko is tarah satana acha nai hota,
ban jaye jb koi dil ki zarurat,
to phir usy chor jana acha nai hota..
<< BHULA DIA >>
Mein ne Haq-e-Mohabat ada kiya,
Na kabi kisi se Gila kiya,
Mujhe ajab is ka Sila mila,
Mujhe DIL se us ne bhula diya,
Muhabton ki Kitab ka,
Her ek varq jala diya,
Wo jo arzo ka Chairagh tha,
Usey Nafraton ne bujha diya,
Mujhe Zakhm phir ek Naya diya,
Mujhe is MUHABAT ne kya diya?..
Wo jo kehta tha Khush Raho,
Wo jo kehta tha meri JAAN ho TUM,
Her Lamha Hansa karo,
Mujhey Aaj usy ne Rula diya.
Nigaah-e yar pe palkon ki agar lagaam na ho.
Badan me door tak zindgi ka naam na ho !
Tu benaqaab jo phirta hai gali koochon me...
To kaise shehar k logo me 'qatl-e- aam' na ho !
Muje yaqeen hai k dunya me dard barh jain...
Agar ye peenay- pilanay ka ehtmaam na ho !
Bitha k samne bas dekhta rhoon tujh ko...
Tere siwa muje dunya ka koi kaam na ho !
Jo Tujh ko Mein dekh lu ik nazar b.!
Mere shehar ki galiyon me kabi shaam na ho.
Na jane kiya kaha Tha Doobne Waley Ne Samandar Se?
"WASI"
K Lehrein Aaj Tak Saahil Se Apna Sar Patakhti Hain.
¤¤§¤¤GOOD*MORNING¤¤§¤¤
KaL Chand Se Ye SawaL Kiya
Bata To Sahi Wo Ajnabi Dekhne Main Kesa Hai
To Osne Kaha..
Kuch Meri Kirnon K Jesa Hai
Kuch Aftab K Jesa Hai
Kuch KaLiyon C Hai
Muskan Oski
Kuch KhiLte GuLab Jesa Hai
Kuch UjaaLe Main Hai JhaLak Oski
Kuch Raat K Shabab K Jesa Hai
Agar Husun Ko Main Ek SawaL Kahun To..
Os K Jawab Jesa Hai
Jise Dekhon
aur
Choo Na Sakun!
Aese Sundar Khuwab K Jesa Hai
Kehte Hain ISHQ Ibadat Hai..
To Os K Sawab Jesa Hai...!!!
Khawabon ki ek basti thi
ek larki us mein rehti thi
apnay ghar ke aangan mein
kuch sapnay boya karti thi
apnay kamray ki khirki mein
boonDon se khela karti thi
Sub k samney hansti thi
chhup chhup k roya karti thi
KhuD he khuD se kurtay rehna
Sakhiyon se kuch na kehti thi
ChanD ko ghanton taktay rehna
Phir khuD sey baten karti thi
Dekhney wali sub ankhon ko
kanch ki guriya lagti thi
Toot chuki to sub ney jana
pyar muhabat karti thi.
"Ek Wo k faqat roth k jane ky lie tha,
OR main k Use roz manane k lie the,
Usko to kbi mujse mohobat hi nai thee,
Ye khel to dunya ko dikhane k lie tha"
Apne labon ko Dushman-e-Izhaar mat bana,
Sachay hain jo unhein gunahgaar mat bana..
Jitne bhi lafz hain wo mehakte gulaab hain,
Lehjay ke farq se unhein talwaar mat bana..
Ilzaam kuch to Gardish-e-Ayaam ko bhi de,
Apne har ek gham ko Gham-e-Yaar mat bana..
Har ek ke liye khula mat rakh isay "QATEEL",
Ye 'D I L' ek ghar hai isay bazaar mat bana...
Meray zakhmon ki dawa kon bany ga teray baad
Main ne to apny b khoay thy tujhe pany k liay.....!!
Wo mera sub kuch tha mera muqadar nahi...
Kaash wo mera kuch na hota mera muqadar hota....
Ek Doje K Ho Jain Hamein Aisi Haseen Ek Raat Chahiye-
Jese Phool Se Juda Hoti Nahi Khushbu-
Mujhe Aisa Apka Saath Chahiye-
Mere Liye Na Sahi Zamane K Liye Sahi-
Mere Haathon Me Hona Apka Haath Chahiye-
Dil Se Mil Jai Dil Sada K Liye-
Han Aisi Hi Haseen Mulaqat Chahiye-
Raat To Aati Hai Har Subha K Baad-
Raat Me Bhi Honi Kuch Baat Chahiye-
Zabardasti Ka Pyar Bhala Kis Kaam Ka-
Apka Pyar Mujhe Dil Se Din Raat Chahiye-. . .
کب کون کسی کا ہوتا ہه
. سب جھوٹے عشق کے ناتے ہیں.
سب دل رکھنے کی باتے ہیں.
سب اصلی روپ جھپاتے ہیں
.اخلاص سے خالی لوگ جہاں
سب لفظوں کے تیر چلاتے ہیں
. ایک بار نگاہوں میں آ کر
پھرساری عمر رلاتے ہیں¤